Search This Blog

Pages

Powered By Blogger

Sunday, February 28, 2010

fr u only

Tumhari ye hasi bahut satati hai mujhe,

Kuch itihas ke panne ke dard ko batati hai mujhe.

Maine kaha na ki mai un jaisa nahi hoon,

Jaisa tum sochkar darti ho mujhse ,

milne ko.

dunia me misal bhare hain,

wiswasghati bhi karde hain.

Par mujhe na samjhna unme

jo kar tujhe itna majboor,

chor ke chala jaye itna door.

Mai to bas teri yadoon me jita –marta hoon ,

Tumse door sapne me bhi jane se darta hoon.

Shukurguzar hunga tera , yadi ek thapad mar lena,

Par meri mohbbat ko mhobbat ka aisa nam na dena .

Kyonki bahut dard hota hai ki koi “jhoota” kahe ,

Sacche pyar ne kisi ko” luta “kahe.

Meri mohabbat ko lachar mat samjhna,

Pyar ko kabhi bekar na samjhna.

Bahut siklati hai hame ye pyar.

Tere dil me mere bare me jo aya wo kah diya.

Kabhi mujhse poocha ki kya mai mahsoos karta hoon.

In waan jaisi baton se kitni baar marta hoon.

Pata nahi aaj-kal mai ji raha ya mar raha ,

Ya kuch aur kar raha hoon.

Par ye na samjh lena ki mai izhar nahi kar sakta,

Apne pyar ko tumse.

Mai nahi darta samaj ki in banwti usuloon se,

Darta hoon to bas tumse, ki cheen na lo teri wo taswir ko ,

Jo basi hai mere sine me,

Aur madad karti hai mere jeene me.

Mat pooch ki kitni bar ata hai juwa pe tera ye nam,

Pooch ki meri juwan ko kya yad hai mera nam ,

Mai to kud ko hi bhool gaya hoon.

Mai samjta hoon tumhe; tumse jyada ,

yadi abhi bhi yaki na aye mujhpe ,

kuda se pooch lena ,

kyonki wo janta hai mere bare me.

No comments:

Post a Comment